Fortnite: A Game That is Taking Over


Fortnite: A Game That is Taking Over
Fortnite, saamaanyata yah ek ‘Battle Royale’ game hai jo ki haal hi mein kafi lok-priya hua hai.
Yah 25 July 2017 mein ‘early-access’ ke roop mein prakashit hua. Is game ko ‘Epic Games’ naam ki company ne wikashan(develop)  kiya or prakashit kiya.
Haalaanki is category mein aur bhi kafi sare game(s) hain per is game ne sab ko peechhe chhor diya hai aur aage badhe jaa raha hai. ‘Battle Royale’ game(s) ka rule seedha sa hai, ye multiplayer hai yaani achchha wala network connection lagega. Bohot saare Kiladiyo(is game mein 100 Khiladi) ko ek map ke under utar diya jaayega jaha khelne ka ilaka samay ke saath chhota hota jaayega, aur jo bhi akhir tak bakiyo ko maarte huye bacha rah jaayega wah khiladi jeetega.
Is game ke charitra cartoon jaise hai, jo ki ise bachcho k beech kaafi prasiddha  bana deta hai. Parantu yah bachcho k liye nahi hai, ise Teen rate kiya gaya hai yaani yah 13 saal se neeche k bachcho ko nahi khelna chahiye. Per yah to sirf likhawat me hai, bachchey isko khelne ka mauka nikal hi lete hai.
Is game ka sabse bada pratidwandwi ek aur ‘Battle Royale’ game hi hai, jiska naam Player Unknown BattleGround (PUBG) hai. Jisko Fortnite ne 3 million+ upabhoktaon se pichhe chhor diya hai(PUBG = 17 million, Fortnite = 20 million). Aur jab se isne apna iPhone wala version nikala hai tab se iska istemaal aur bhi badh gaya hai.
Ye game itna hi prasiddh hai ki poori internet ko hi isne apne haatho mein kiya hua hai. Is game ka sabse bada streamer har mahiney half million US Dollars se zyada kama raha haisirf stream kar ke. Uske YouTube channel 9 dino ke under 6 million subscribers se 7 million subscribers Badhat kar lee. Aur aakhri 30 dino mein 3 million subscribers haasil kiye.
Aur aaj ye game duniya ka sabse zyada khele jaane wala khel hai. Jo baat PUBG khiladiyo ko hajam nahi hoti!

Fortnite: A Game That is Taking Over Fortnite: A Game That is Taking Over Reviewed by abir biswas on 08:48 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.
Created by Piklu Biswas.Copyright @ Kiyakese 2018.All Rights Reserved.